kabhi karte hai shikwe
kabhi yuhi bas nikal jate hai
Har jeet ko peene ka maja
har haar ko jeene ki saaza
har dua kabool ho ye dua
aur khawisho ka chota panna
jeb mein kuch khawishe mode huee
kabhi bistar mein khud ko sikode huee
aasmaan ki kisi kone ko kaha choda tha
shayad khush tha.. jab sabkuch thoda tha
aasmaan ko samet lene ka falsafa
suraj ko ghurne ka bebaak hosla
paani ko bhi bade naakhono se nocha
the pure anadi..par kiya wahi jo socha
Kuch dur shayad mujhse nikal gaya hai
kya kal bhi mera meri tarah badal gaya hai
taalo mein aaj mithi ki tarah yu jam gaya hai
muthi thi band fir bhi kal haatho se fisal gaya hai
Kuch shayad alag sa ho gaya hai
kuch mera mujhse kho gaya hai
shayad,
daat koi achi se khaye huee waqt ho chala hai
mitti mathe pe lagaye huee
sadako pe jor se chilaye huee
geet apne mann ke gaye huee........
Apne asoo sabko bataye huee...
hatho se jhoom ke muskuraye huee
Khud ki galat baatein manvaye huee
or gaal pe tamacha koi paye huee.....waqt ho chala hai
